Madhya Pradesh Prathmik Shikshak patrata Pariksha 2024
Madhya Pradesh Mein primary
shikshak primary teacher 2024 ke aavedan shuru ho gaye hain agar aap madhya
Pradesh mein prathmik Shikshak banne ke liye taiyari kar aur bacchon Ko
padhaane ki aapki Ruchi hai to aap madhya Pradesh Mein Prathmik Shikshak patrata
Pariksha ke liye aavedan kar sakte hain.
Madhya Pradesh Mein Prathmik Shikshak banne ke
liye ek notification Jari Kiya Gaya Hai is notification ke anusar aap aavedan
kar sakte hain agar aap ke pass paryapt qualification aur Anya dastavej uplabdh
Hain to aaiae Jante Hain is post mein ki prathmik Shikshak banne ke liye
kya-kya avashyak hai aur kya-kya important baten Hain Jo Hamen Dhyan mein
rakhni hai.
Madhya Pradesh Prathmik Shikshak patrata Pariksha 2024 important
dates
1- aavedan
start hone ki dinank- 1 October 2024
2- aavedan
band hone ki dinank- 15 October 2024
3- aavedan
Mein Sudhar karne ki antim Tithi- 20 October 2024
4- online
Pariksha start hone ki date- 10 November 2024
Prathmik Shikshak patrata Pariksha Mein fees Kitni Lagegi?
1- general
category ke candidates- 500/-
2- SC ST OBC
category ke candidates – 250/-
Madhya Pradesh Prathmik Shikshak patrata Pariksha mein
qualification kya hai?
1- 12वीं + D.Ed or graduation+ D.Ed
Madhya Pradesh Prathmik Shikshak patrata Pariksha 2024 Mein
aavedan karne ki prakriya kya hai ?
Madhya
Pradesh Prathmik Shikshak patrata Pariksha ka aavedan karne ke liye ham aapko
step bye step Puri prakriya bata rahe Hain-
1- sabse
pahle esb.mponline.gov.in ko visit Karen .
2- vahan per
aapko Prathmik Shikshak patrata Pariksha 2024 ke liye aavedan karne ki link Di
Gai Hogi.
3- aavedan
karne se pahle candidate ko apni profile ko complete kara kar Rakhna hoga.
4- profile
complete hone ke bad Di Gai link per click Karen usmein Apne avashyak Jankari
feed Karen aur form ko submit Karen.
Note- madhya Pradesh Prathmik Shikshak patrata Pariksha Keval Ek
patrata Pariksha hai. Jo ki Prathmik Shikshak banne ke liye qualify karna
avashyak hai.
Yah Jankari Madhya Pradesh
Prathmik Shikshak Pariksha se sambandhit hai. Aise candidate Jo is Pariksha
Mein Shamil hone ke liye taiyari kar rahe hain vah prathmik Shikshak patrata
Pariksha 2024 ke liye aavedan karne se pahle official notification ko Dhyan se
padhen. Aavedan karne ke pakshat aapko patrata Pariksha se sambandhit pariksha
Deni Hogi qualify hone ke pakshat aage Jo Prathmik Shikshak patrata pariksha ke
bad Prathmik Shikshak banne ke liye Jo Pariksha aayojit ki Jayegi usmein
baithane ke liye yah Patra pass karna Ati avashyak Hai. Aise candidate Jan Ke
Pass D.Ed. Diploma Nahin Hai vah is Pariksha ke liye patra Nahin Hai . kripya
official notification ko Dhyan se padhen.
Aapko Madhya
Pradesh Prathmik Shikshak patrata Pariksha se sambandhit jankari kaisi lagi.
Apne comment Karke Hamen bataen.
Best of luck!
You can visit our website sarkarigovtjobs.co.in
regularly .